Screen recording karte samay video Mai lag dikh raha hai

Namaste

Mai Garuda linux me screen recording karata hu tab sab sahi chalta Hai
Systems par bhi koi load nahi rahata

Lekin video record hone ke bad play Kiya toh usame lag dikhane lagata hi

Pc Mai 8 gb ram, Intel i5 4gen ka hardware hai
Isaka samadhan kya ho Sakata hai

Krupaya koi suzav de.

aap konsa recording software use karte ho?
Mere liye OBS kafi had tak theek kam karti hai.

2 Likes

OBS studio and vokoscreenN

Dono Mai same problem dekhane ko mil ragi hai

Aap kiske liye screen recording use karte ho,

Mere liye OBS ke alava aur koi recorder kaam hi nahi karta theek se agar me gaming karu to, app ki tarah lag karta hai mera bhi,

Yadi me OBS se record karta hoo to lag to nahi karta par fps bohut gir jati hai, lagbhag 7-18 ke beech mai hi hoti hai jabki without recording 30 tak jati hai.

Mere hisaab se ye purane processor ke baje se hi hota hoga, aapka i5 4gen jabki mera i5 7gen.

Shayad ek naya processor hi kam karega

2 Likes

Try a lighter desktop environment, like cinnamon.

2 Likes

This topic was automatically closed after 12 days. New replies are no longer allowed.